Kaash Tu Pehchaan Paata...
-->
Tu b uske maathe ko pyar se chumta
Uski god me palke mundke boht rota
Aaj duniye ke saamne usko leke naaz karta
Agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Uski banayi rotion me tujhe sau zindagi ka sukun milta
Uski pallu k ek chote tukde se tera b zakhm bhar jaata
9 mahine ke tere pehle basere ko aise na ruswa karta
agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Tu ab bhi thakaan mitaane ko uska aanchal dhundta
ek pal ke liye usko tanhai ka ekhsaas tak na hone deta
aasnsuon ke har boond ke saath uske deedar ko na tadapata
agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Tu na kabhi na khatam hone waali aisi doriyaan banata
usko jeete ji tu qayamat ka manzar na dikhlata
uske saamne kabhi na patjhad ka mausam laata
agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Tu bachpan ki wo lori yaad karke ab bhi rota
uski dhundli si ek tasveer se apne dil ko na behlaata
Uske har khwab ko tu apni haqeeqat banata
agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Uske chehre pe sikan ka ek nisaan na aane deta
apni parchaai ko na khud se tu alag karta
Apne har ibadat me uske liye dua karta
Agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata
Roz katra katra tu aise na marta
Aaj khuda tujhse yun ruth ke na baitha hota
tu b aj bakhuaf gurror se sab ke saamne usko maa pukaarta
agar tu usko jaan paata, kaash tu pehchaan paata....